Jun 13, 2012

Maine usse ek ishara kiya....................

Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bheja

Jab hamne pyar karna chaha to..............


Jab hamne pyar karna chaha to,
Unhone hamse nata tod liya.
Jab kabhi aayi yad hamein unki,
Unhone bhi na kahte hue munh mod liya.
Aakhir kabhi na aayegi yaad unhe hamari.
Sochkar hum ne bhi umeed ka daman chod diya.
Tarsate rahe unki ek jhalak pane ko,
Aur apna har rasta dukhon ki aur mod liya.
Jab ehsas hua hamari sachchhi mohbbat ka unhe,
Tab tak hum us mukam pe the,
Jahan se laut kar aana hamare liye mushkil,
Aur hame pana unke liye namunkin tha.